FunMaza ForuM

Would you like to react to this message? Create an account in a few clicks or log in to continue.

The Best Place To Have Fun & Maza With Friendz

Please Read the suggestions section and give your suggestion for FM skin...Funmaza Forum Is Back.**~~**..Most Welcome To All New and Old FM Users.**~~**..Some New Emotions Are Added..**~ADD this ID in your msn messenger "group845326@groupsim.com" ~*Chat Box on Forum is enable don't forget to log in there*... Keep Posting Have Fun

2 posters

    my collection

    blind
    blind
    V.I.P Member
    V.I.P Member


    Posts : 1861
    Join date : 2009-11-08
    Location : blindnagar
    Hobbies : poetry searching posting

    my collection - Page 2 Empty Re: my collection

    Post by blind Sun Dec 06, 2009 3:30 am

    kahan aakay ruknay thay rastay ,kaha moor tha usay bhool ja
    woh jo mil gaya usay yaad rakh, jo nahi mila usay bhool ja

    WOH TAIRAY NASEEB KI BARISHAIN KISE AUR CHAT PAR BARAS GAYEE'N
    DIL E BAYKHABAR MAIRE BAT SUN,USAY BHOOL JA ,USAY BHOOL JA

    main tu gum tha tairay hee dhayan main,taire aa's,tairay guman main
    saba kah gayee mairay kaan main,mairay saath aa,usay bhool ja

    kisee ankh main nahi ashk e gham ,tairay baad kuch bhi nahi hai ghum
    tujhay zindagi nay bhoola dia,tu bhi muskura usay bhool ja

    kahen chak e jaan ka rafu nahi kise asstee'n par laho nahi
    kay shaheed e rah e malal ka nahi khoon baha,usay bhool ja

    q aata howa hai ghubar main,gham e zindagi kay fishar main
    woh jo darj tha tairay bakht main,so woh hogaya,usay bhool ja

    na woh aankh he taire annkh the ,na woh khwab he taira khawab tha
    dil e muntazir tu yeh kis liye ,taira jaagna, usay bhhool ja

    yeh jo raat din ka hai khail sa,usay daikh, us par yakeen na kar
    nahi aks koi bhi mustaqil,sare aina,usay bhool ja

    jo basat e jjan he ulat gaya,woh jo raastay say palat gaya
    usay rooknay say hasool kia,usay maat bola,usay bhool ja

    tu phir yeh kis liyee shab e hijar kay usay har sitaray main daikhna
    woh falak kay jis pay milay thay hum,kio aur tha ,usay bhool ja

    tujhay chand ban kay mila tha jo,tairay sahiloon pay khila tha jo
    woh tha darya aik wisal ka,so otar gaya,usay bhool ja...!!!
    blind
    blind
    V.I.P Member
    V.I.P Member


    Posts : 1861
    Join date : 2009-11-08
    Location : blindnagar
    Hobbies : poetry searching posting

    my collection - Page 2 Empty Re: my collection

    Post by blind Sun Dec 06, 2009 3:31 am

    Meri Dua hai k
    Meri Dua hai k
    Sara jeewan!
    Barang-e-khushbu,misal-e-suraj
    Zameen k us paar ufaq tak
    Qadam qadam tum bahar dekho
    Khazan k be-rabt mosamon say
    Koi na jhonka hawa ka aaey
    Qadam qadam pe khushian hon raqsaan
    Woh waqt tum ko KHUDA dikhayea.................!!
    blind
    blind
    V.I.P Member
    V.I.P Member


    Posts : 1861
    Join date : 2009-11-08
    Location : blindnagar
    Hobbies : poetry searching posting

    my collection - Page 2 Empty Re: my collection

    Post by blind Sun Dec 06, 2009 3:32 am

    Main phool hoon meri khusbho tum ho
    Main dil hoon meri dharkan tum ho
    Main jan hoon meri rooh tum ho
    Main jism hoon meri zindagi tum ho
    Main sagar hoon meri halchal tum ho
    Main sapna hoon meri tabeer tum ho
    Main aks hoon meri haqiqat tum ho
    Main saya hoon meri surat tum ho
    Main sahil hoon meri aas tum ho
    Main lab hoon meri baat tum ho
    Main aankh hoon meri roshni tum ho
    Main tab hoon mukamal jab sath tum ho
    blind
    blind
    V.I.P Member
    V.I.P Member


    Posts : 1861
    Join date : 2009-11-08
    Location : blindnagar
    Hobbies : poetry searching posting

    my collection - Page 2 Empty Re: my collection

    Post by blind Sun Dec 06, 2009 3:32 am

    meri maan muj say poochti hai
    meri sooji hue bay ronaq aankhoon ki wajah
    meri ujri hue pheeki hunsi ki sabub
    may tumhain kaisay bataoon maan
    may kaisay sumhjaoon
    may nay in aankhoon may kitnay aansoo
    tum say chupa k rukhay hain
    kitnay zakhum khultay hain
    jub yeh hont hunstay hain
    may kaisay bataoon maan
    may bay aitbar hue hoon
    mera yakeen toota hai
    wo ghair nahi tha
    mujay kisi apnay nay loota hai
    may kia sumhjaoon maan
    teri beti ko taqdeer nay
    kahan la k huraya hai
    meray samnay meray haath say
    mera sub kuch churaya hai
    may kaisay bataoon maan
    yeh choat bohut gahri hai
    aur derd bohut hota hai maan
    tu jhlail hi nahi paye gi
    jaisay dil mera rota hai maan
    may kuch bata nahi paoon gi
    mujay bus tu chup rahnay day
    yeh derd mera muqudder hai
    mujay mauqadder sahnay day
    blind
    blind
    V.I.P Member
    V.I.P Member


    Posts : 1861
    Join date : 2009-11-08
    Location : blindnagar
    Hobbies : poetry searching posting

    my collection - Page 2 Empty Re: my collection

    Post by blind Sun Dec 06, 2009 3:33 am

    my collection - Page 2 34ovotspc0
    blind
    blind
    V.I.P Member
    V.I.P Member


    Posts : 1861
    Join date : 2009-11-08
    Location : blindnagar
    Hobbies : poetry searching posting

    my collection - Page 2 Empty Re: my collection

    Post by blind Sun Dec 06, 2009 3:36 am

    my collection - Page 2 1zgq7uo
    blind
    blind
    V.I.P Member
    V.I.P Member


    Posts : 1861
    Join date : 2009-11-08
    Location : blindnagar
    Hobbies : poetry searching posting

    my collection - Page 2 Empty Re: my collection

    Post by blind Sun Dec 06, 2009 3:36 am

    main chahta hi na tha usay lajawab karna
    warna jawab meray pas usk her sawal ka tha
    uski jeet say hoti hai khushi mujh ko
    ye jawaz meray pas bus apni haar ka tha
    blind
    blind
    V.I.P Member
    V.I.P Member


    Posts : 1861
    Join date : 2009-11-08
    Location : blindnagar
    Hobbies : poetry searching posting

    my collection - Page 2 Empty Re: my collection

    Post by blind Sun Dec 06, 2009 3:37 am

    Meri mohabbat ki itni si kahani hai.
    Tooti hoi kashti ruka hua pani hai.
    Aik gulab unki kitab mein dam tor chuka hai.
    Unn ko yaad hi nahi k ye kis ki nishani hai !!!!!!!!
    blind
    blind
    V.I.P Member
    V.I.P Member


    Posts : 1861
    Join date : 2009-11-08
    Location : blindnagar
    Hobbies : poetry searching posting

    my collection - Page 2 Empty Re: my collection

    Post by blind Sun Dec 06, 2009 3:38 am

    بس اک دُعا تیرے لیے
    تو جو ستاروں کی تمنا کرے کبھی
    ستارے ٹوٹ کے تیری پلکوں میں سما جائیں
    تو جو روشنی کی طلب کرے
    سورج ڈوب کر بھی اُبھر آئے
    تو جو حسن کو چاہے کبھی
    چاند آنگن میں تیرے بسیرا کرے
    درد کی کوئی بھی انجانی رُت
    تیرے قدموں کو نہ چھو کر گزرے
    بس یہی اک دعا ہے تیرے لیے
    blind
    blind
    V.I.P Member
    V.I.P Member


    Posts : 1861
    Join date : 2009-11-08
    Location : blindnagar
    Hobbies : poetry searching posting

    my collection - Page 2 Empty Re: my collection

    Post by blind Fri Dec 11, 2009 4:15 pm

    Daikho phir se na yun kehna
    k yeh sher acha hai
    mujhay acha nai lagta
    k meray dard ki shiddat ko
    koi ghazal samjh baithay
    suno..!
    mai phir se ye kehti hoon
    kabhi aisay na yun kehna
    k buhat tum khoob likhti ho
    ye tumnay kahan se sikha hai
    ye ghazal buhat hi achi hai
    suno ye batain na phir kehna.!!
    blind
    blind
    V.I.P Member
    V.I.P Member


    Posts : 1861
    Join date : 2009-11-08
    Location : blindnagar
    Hobbies : poetry searching posting

    my collection - Page 2 Empty Re: my collection

    Post by blind Fri Dec 11, 2009 4:15 pm

    aap agar ham ko mil gaye hote


    aap agar ham ko mil gaye hote
    baaG main phool khil gaye hote

    aap ne yuu.N hii ghoor kar dekhaa
    honTh to yuu.N bhii sil gaye hote

    kaash hum aap is tarah milate
    jaise do vaqt mil gaye hote

    hum ko ahal-e-Khirad mile hii nahii.n
    varnaa kuchh munfaiil gaye hote



    us kii aaNkhen hii kaj-nazar thiin "Heer"
    dil ke parde to hil gaye hote
    blind
    blind
    V.I.P Member
    V.I.P Member


    Posts : 1861
    Join date : 2009-11-08
    Location : blindnagar
    Hobbies : poetry searching posting

    my collection - Page 2 Empty Re: my collection

    Post by blind Fri Dec 11, 2009 4:17 pm

    Tumhein dillagi bhool jani pare gi
    Mohabbat ki raahon mein aa kar to dekho
    Tarapne pe mere na phir tum hanso ge
    Kabhi dil kisi se laga kar to dekho

    Honthon ke paas aye hansi, kya majaal hai
    Dil ka maamla hai, koi dillagi nahin
    Zakhm pe zakhma kha ke jee, apne lahoo ke ghoont pee
    Aah na kar labon ko see, ishq hai dillagi nahin

    Dil laga kar pata chale ga tumhein
    Aui dillagi nahin hoti
    Kuch khel nahin ishq ki laag,
    Paani na samajh yeh aag hai aag

    Khoon rulaye gi yeh lagi dil ki
    Khel samjho na dillagi dil ki
    Yeh ishq nahin asaan, bas itna samajh li jiye
    Ek aag ka daryaa hai aur doob ke jana hai

    Wafaon ki humse tawaqqo nahin hai
    Mager ek baar azmaa kar to dekho
    Zamane ko apna bana kar to dekha
    Humein bhi tum apna bana kar to dekho

    Rukh se naqaab utha ke bari der ho gayi
    Mahol ko tilawat-e-Quran kiye hue
    Hum na samjhe teri nazron ka taqaza kya hai
    Kabhi pardah kabhi jalwa yeh tamasha kya hai

    Khudah ke liye chor do ab yeh parda
    Ke hain aaj hum tum nahin ghair koi
    Shab-e-wasl bhi hai hijaab is qadr kyun
    Zara rukh se aanchal utha kar to dekho

    Jafayein bahut ki, bahut zulm dhaye
    Kabhi ek nigaah-e-qaram is taraf bhi
    Hameshaa hue dekh kar mujhko barham
    Kisi din zara muskura kar to dekho

    Jo ulfat mein har ek sitam hai ganwaara
    Yeh sab kuch hai paas-e-wafa tumse warna
    Satate ho din raat jis tarha mujhko
    Kisi ghair ko yun sata kar to dekho

    Ager jey kisi baat par woh khafa hain
    To acha yehi hai tum apni si karlo
    Woh maanein na maanein yeh marzi hai unki
    Mager unko purnam mana kar to dekho

    Tumhein dillagi bhool jani pare gi
    Mohabbat ki raahon mein aa kar to dekho
    Tarapne pe mere na phir tum hanso ge
    Kabhi dil kisi se laga kar to dekho
    blind
    blind
    V.I.P Member
    V.I.P Member


    Posts : 1861
    Join date : 2009-11-08
    Location : blindnagar
    Hobbies : poetry searching posting

    my collection - Page 2 Empty Re: my collection

    Post by blind Fri Dec 11, 2009 4:17 pm

    Apni aaghish main kisi
    rouz chupa lo muJh ko ...

    Ghum-e-DUniya se
    mere ( dOst ) bacha Lo mujh ko ...

    Unko dedi hai
    Isharooun main iazat maine ...

    Mangnay se bHi
    na milti hai izat jin ko ...

    Meri uljhan meri wahshat
    se nikalO mujh kO ...

    Unko likha hai kisi
    roz yeh khat main jana ...

    Hum to khud k bhi nahi
    apna bana Lo mujh kO ... !!
    blind
    blind
    V.I.P Member
    V.I.P Member


    Posts : 1861
    Join date : 2009-11-08
    Location : blindnagar
    Hobbies : poetry searching posting

    my collection - Page 2 Empty Re: my collection

    Post by blind Fri Dec 11, 2009 4:19 pm

    woh mujh say pochti hai chand ki basti kaha par hai
    mai is ki baat par is ehad mai heraan hota ho

    woh mujh say pochti hai kon sooraj mai sulagta hai
    woh mujh say pochti hai aur dil ko thaam leti hai

    woh mujh say pochti hai: rooh ki larzish kay baray mai
    mai kahta ho kay ye to baqarari raqs karti hai

    woh mujh say pochti hai almiya kya cheez hoti hai
    mai kahta ho: mohabat aur nafrat zidnagi aur mout hai shaied

    woh boli sawanoo’n mai ab woh pahlay jasay rung kum kum hain
    mai bola ab piya bhi to sakhi kay sath kum kum hain




    woh boli: nain kuch kahtay huway aksar jhapaktay hain
    mai bola: dil mai bethay choor ko rasta nahi milta

    woh kahti hai kay jhanjhar ab tumhay maiel nahi karti
    mai kahta ho: tumhay ab zindagi qail nahi karti

    woh kahti hai kay peelay phool bhi khusbho nai daitay
    mai kahta ho: judaye theek hai chubhti nahi dil mai

    woh kahti hai hawain pairsay manoos hoti hain
    mai kahta ho kay in kay darmiyan rishta purana hai




    woh kahti hai sadain parbatoo’n say lout ati hain
    mai kahta ho kay in ko in say takarana nahi ata

    woh kahti hai fizaa’ain husn say abad rahti hain
    mai kahta ho agar is husn ki taqdees baqi ho

    woh kahti hai wafain shehar say bezaar kyu kar hain
    mai kahta ho itnay chup dar-o-dewar kyu kar hain

    woh boli asmaano ki tarf nazarain nahi uthti
    mai kahta ho kay shaied boojh parta ho nigahoo’n par




    woh kahti hai zameen pairoon kay nechay sard kyu kar hai
    mai kahta ho zameen hum say bohat naraz rahti hai

    kaha is nay meri itraaf mujh ko qaid rakhti hain
    kaha mai nay kay in itraaf say bahir nahi kuch bhi

    kaha is nay darakht apni jaroon say pyar kartay hain
    kaha main nay jarain ek rooz is ko mardaiti hain

    kaha is nay khuda achay buray ki baat sunta hai
    kaha main nay usay awaaz ki pehchan ati hai

    woh boli: mai chehktay badloon ki gungunahat ho
    mai bola: tum mehkatay motiya ki muskurahat ho




    woh boli: mai suhanay mosamoon kay geet jasi ho
    mai bola: tum haseen dehatoo’n ki pareet jasi ho

    woh boli: mai chamakti chandni kay rung jasi ho
    mai bola: tum muhabat kay puranay jhag jasi ho

    woh boli: mai samandar par ki janat say aye ho
    mai bola: mai tumharay khas istaqbal ko aya

    woh kahti hai kay mujh say titliya bhi pyar karti hain
    mai kahta ho: inay tum bagh kay phool si lagti ho




    woh kahti hai mujhay jugnoo bhi choonay kaliye aye
    mai kahta ho: tumhay woh chand ki mehma’n samjhatay hain

    woh kahti hai meri awaz ko gunbad tarastay hain
    mai kahta ho: tumhari baazgasht mehbaa’n chahain

    woh kahti hai mai huns dou to fizaian raqs kar uthay
    mai kahta ho tu roday to ghatain raqs kar uthain

    woh kahti hai prainday pyar say mujh ko bulatay hain
    mai kahta ho shajar aksar teray qisay sunatay hain

    woh boli: dard aksar raat ko soya nahi karta
    mai bola: is tarha to koi bhi roya nahi karta




    woh boli: har tarf jangal mai ek pazeeb bajti hai
    mai bola: har tarf chanchal hawa phir hai bhagi si

    woh boli: sardion mai dhoop ki hidat kabhi dekhi
    mai bola: haan tum nay meraly lams ki shidat kabhi dekhi

    woh boli: barishoo’n mai sehar dhal jata hai lamhoo mai
    mai bola: haan magar ankhain bohat thak jaya karti hain

    woh boli: garmioon mai pair ki chaoo’n bulati hai
    mai bola: garmioo mai pair bhi kasi banahain hain

    woh boli zaat ko taqseem hi kartay raho gay kya
    mai bola: waqt kay apnay taqasay: dil kay apnay hain



    woh boli: phir palat aye: chalay to phir palat aye
    mai bola: bund koochay ka safar hai zindagi apni

    woh boli: har sarak jati hai gham kay shehar ki janib
    mai bola agar woh shehar apnay dil mai ho to phir

    woh boli gham hamesha sath deta hai museebat mai
    mai bola ek zara tehro: mujhay kuch ghor say dekho

    woh boli: kya zaroori tha mujhay tum sath hi rakhtay
    mai bola: rooh bin mai jism kya karta: kaha jata

    woh boli: agya hai retla mousam judaye ka
    mai bola mai tera sehra nord mustaqil tehra




    woh boli rait urti hai tu ankho mai bhi parti hai
    mai bola dard ki mari ankhoo’n ko is say kya

    woh boli: sooch lou is dhoop mai kantay barastay hain
    mai bola: ye to acha hai badan par phool mehkain gay

    woh boli: raat zakhmoon par bohat teesain bhi barsain gi
    mai bola: zakhm par zakhmoon ko sah janay ki adat hai

    woh boli: arzoo’n kay laho ka zaiqa kya hai
    mai bola: talkh hai metha hai: karwa hai raseela hai

    woh kahti hai kay mai to maang mai sooraj sajao gi
    mai kahta ho kay sooraj ki wazahat ho magar pahlay
    blind
    blind
    V.I.P Member
    V.I.P Member


    Posts : 1861
    Join date : 2009-11-08
    Location : blindnagar
    Hobbies : poetry searching posting

    my collection - Page 2 Empty Re: my collection

    Post by blind Fri Dec 11, 2009 4:20 pm

    Hum nazuk nazuk Dil waley,
    Bus aisey hi to hotey hain,

    Kabhi hanstey hain, Kabhi Rotey hain,
    Kabhi dil main Khuwab pirotey hain,

    Kabhi mehfil menfil phirtey hain,
    Kabhi zaat main tanha hotey hain,


    Kabhi Chup ki mohar sajate hain,
    Kabhi geet labon per latey hain,

    Kabhi sub ka dil behlatey hain,
    Kabhi khud main tanha ho jatey hain..........!!!!
    blind
    blind
    V.I.P Member
    V.I.P Member


    Posts : 1861
    Join date : 2009-11-08
    Location : blindnagar
    Hobbies : poetry searching posting

    my collection - Page 2 Empty Re: my collection

    Post by blind Fri Dec 11, 2009 4:20 pm

    kholo kholo apni ankhin aur ghor se suno
    dene ko to bohat kuch hai per apna sa kuch dena chahti hon

    ek bond soraj ki
    ek qatra asmna ka
    ko'el ki adhi kook
    aur kuch sapne jagmagte
    acha lage to aur mango dene ko to bohat kuch hai
    per apna sa kuch dena chahti hon
    asmna sa aina

    ek debi titliyon ki
    ek chamch nadi ki dhar
    aur ek muthi zindagi
    acha lage to aur mango dene ko too bohat kuch hai
    per apna sa kuch dena chahti hoon....
    blind
    blind
    V.I.P Member
    V.I.P Member


    Posts : 1861
    Join date : 2009-11-08
    Location : blindnagar
    Hobbies : poetry searching posting

    my collection - Page 2 Empty Re: my collection

    Post by blind Fri Dec 11, 2009 4:21 pm

    kahan aakay ruknay thay rastay ,kaha moor tha usay bhool ja
    woh jo mil gaya usay yaad rakh, jo nahi mila usay bhool ja

    WOH TAIRAY NASEEB KI BARISHAIN KISE AUR CHAT PAR BARAS GAYEE'N
    DIL E BAYKHABAR MAIRE BAT SUN,USAY BHOOL JA ,USAY BHOOL JA

    main tu gum tha tairay hee dhayan main,taire aa's,tairay guman main
    saba kah gayee mairay kaan main,mairay saath aa,usay bhool ja

    kisee ankh main nahi ashk e gham ,tairay baad kuch bhi nahi hai ghum
    tujhay zindagi nay bhoola dia,tu bhi muskura usay bhool ja

    kahen chak e jaan ka rafu nahi kise asstee'n par laho nahi
    kay shaheed e rah e malal ka nahi khoon baha,usay bhool ja

    q aata howa hai ghubar main,gham e zindagi kay fishar main
    woh jo darj tha tairay bakht main,so woh hogaya,usay bhool ja

    na woh aankh he taire annkh the ,na woh khwab he taira khawab tha
    dil e muntazir tu yeh kis liye ,taira jaagna, usay bhhool ja

    yeh jo raat din ka hai khail sa,usay daikh, us par yakeen na kar
    nahi aks koi bhi mustaqil,sare aina,usay bhool ja

    jo basat e jjan he ulat gaya,woh jo raastay say palat gaya
    usay rooknay say hasool kia,usay maat bola,usay bhool ja

    tu phir yeh kis liyee shab e hijar kay usay har sitaray main daikhna
    woh falak kay jis pay milay thay hum,kio aur tha ,usay bhool ja

    tujhay chand ban kay mila tha jo,tairay sahiloon pay khila tha jo
    woh tha darya aik wisal ka,so otar gaya,usay bhool ja...!!!
    blind
    blind
    V.I.P Member
    V.I.P Member


    Posts : 1861
    Join date : 2009-11-08
    Location : blindnagar
    Hobbies : poetry searching posting

    my collection - Page 2 Empty Re: my collection

    Post by blind Fri Dec 11, 2009 4:21 pm

    Ye Hum Bhi Gawara Karte Hain
    Ye Tum Bhi Gawara Kar Lena

    Roo Roo K Guzari Hai Hum Ne
    Tum Hans K Guzara Kar Lena

    Betabi Haad Se Bhar Jaye
    Or Neend Na Aeye Ratoon Ko

    To Doob K Meri Yadon Main
    Duniya Se Kinara Kar Lena

    Jis Waqat Janaza Guzre Ga
    Es Shakhs Ka Tere Koche Se

    Jazbat Pe Qaboo Kar Lena
    Khirki Se Nazara Kar Lena
    blind
    blind
    V.I.P Member
    V.I.P Member


    Posts : 1861
    Join date : 2009-11-08
    Location : blindnagar
    Hobbies : poetry searching posting

    my collection - Page 2 Empty Re: my collection

    Post by blind Fri Dec 11, 2009 4:22 pm

    Muhabbat dasht-e-furqat mein
    bina rakht-e-safar chaltay kisi majzoob ke Dil se nikalta
    aik noha he
    muhabbat raaston ke jaal mein bhatka hua raahi
    kisi ke baam pe thehra hua ik ajnabi chehra
    muhabbat khuaab bun jaaey to taabeerein nahi miltein
    muhabbat aik baarish he

    jo ik ik boond bun ke tun-mun mein jab utarti he
    sureelay saaz bajtay hain
    anokhay baab khultay hain
    muhabbat kerne waley to faseel-e-jaan ko daao per laga ke baat kertay hain
    woh kaanto ki zameeno pe bhi nangay paaon chaltey hain
    muhabbat aik sargoshi he

    kisi funkaar ke haathon se chirta bay-khudi ka raag
    muhabbat baarishon ke mausam mein yaad ki kaaya
    muhabbat jaltay-tuptay raaston per phailta saaya
    muhabbat ik qaza bun ker bhi aati he
    kai logon ke jeewan mein
    muhabbat marg-e-gul bhi he

    muhabbat yaas ki soorat
    ik aisi piaas ki soorat
    kabhi jo bujh nahi paati
    muhabbat ik udaasi he
    bala ki khaamshi bhi he
    muhabbat
    blind
    blind
    V.I.P Member
    V.I.P Member


    Posts : 1861
    Join date : 2009-11-08
    Location : blindnagar
    Hobbies : poetry searching posting

    my collection - Page 2 Empty Re: my collection

    Post by blind Fri Dec 11, 2009 4:22 pm

    Dard ke phool bhi khilte hain bikhar jate hain
    zakhm kaise bhi hon kuchh roz me bhar jate hain

    Is dareeche me bhi ab koi nahi aur hum bhi
    sar jhukaye huye chupchap guzar jate hain

    Rasta roke khadi hai yahi uljhan kab se
    koi poochhe to kahen kya ke kidhar jate hain

    Narm awaz bhali baten mohazzib lehja
    pehli barish me hi ye rang utar jate hain
    blind
    blind
    V.I.P Member
    V.I.P Member


    Posts : 1861
    Join date : 2009-11-08
    Location : blindnagar
    Hobbies : poetry searching posting

    my collection - Page 2 Empty Re: my collection

    Post by blind Fri Dec 11, 2009 4:23 pm

    Kisi ke Waaste khud ko Mitana ab nahi mumkin
    Diya is gham ki aandhi mein jalana ab nahi mumkin

    Wo Wada jis mein har ik khawab ki Tabeer milti thi
    Usse yoon baad muddat ke nibhaana ab nahi mumkin

    Falak ki Wussaton mein khone wale bekhabar panchi
    Palat ke dekh peyrhon pe thikaana ab nahi mumkin

    Tumhe Fursal mili kab hum se Dil ka haal sunne ki
    Chalo Choro yeh afsaana sunaana ab nahi mumkin

    Kabhi wo Waqt tha jab Hum Dilon pe Raaj karte the
    Kisi ki Aankh se Neendein churaana ab nahi mumkin

    Wo Humko bhool bethe hein Badal Rut mein to phir kya
    Hamaare Waaste un ko bhulaana ab Nahi mumkin

    Zara ik Nazar to Dekho idher Peron ke Chaalon ko
    Pohanch ke tere Dar pe,,Khaali jana ab nahi mumkin

    Hazaaron Lab Dua karte hein jis ke waaste har Pal
    Ussi ko Munh ke Bal Giraana ab Nahi mumkin
    blind
    blind
    V.I.P Member
    V.I.P Member


    Posts : 1861
    Join date : 2009-11-08
    Location : blindnagar
    Hobbies : poetry searching posting

    my collection - Page 2 Empty Re: my collection

    Post by blind Fri Dec 11, 2009 4:23 pm

    Mein Muntazir Hoon



    main muntazer hoon
    iss roshni ki
    iss ujaly ki
    jo tery tan sa
    mery tan tak
    jo tery man sa
    mery man tak
    phyel jya
    mery jism-o-jan main
    meri ragon tak main
    utar jya
    iss roshni ki
    jise hum tum "MOHABAT" khete hain
    blind
    blind
    V.I.P Member
    V.I.P Member


    Posts : 1861
    Join date : 2009-11-08
    Location : blindnagar
    Hobbies : poetry searching posting

    my collection - Page 2 Empty Re: my collection

    Post by blind Fri Dec 11, 2009 4:24 pm

    Tashnagi


    tashnagi hoon aarzu hoon dard ki fariyaad hoon
    aaik tanhaai ka markaz hoon chraagh-e-yaad hoon

    mera mallah main khudi tha mera katib main khudi
    apni har unwaan-e-barbaadi ki main ejaad hoon

    meri tanhaai thikana hai mera kuch is tarha
    hoon akela aur gham ki bazam main abaad hoon

    mujhse na poocho meri nakaamiyoun ka silsila
    phool daman main liye betha hoon aur nashaad hoon

    zindagi ik dard hai kia kuch nahi haasil mujhey
    har khushi se door hoon har chaain se aazaad hoon
    blind
    blind
    V.I.P Member
    V.I.P Member


    Posts : 1861
    Join date : 2009-11-08
    Location : blindnagar
    Hobbies : poetry searching posting

    my collection - Page 2 Empty Re: my collection

    Post by blind Fri Dec 11, 2009 4:25 pm

    "Tu Nay Kaha Tha Ishq Dhong Hai"




    Tujhay Ishq Ho Khuda Karay.
    Koi Tujh Ko Us Say Juda Karay
    Terey Hont Hansna Bhool Jayein
    Teri Aankh Poornam Raha Karay
    Tu Us Ki Batain Kia Karay
    Tu Us Ki Batain Suna Karay
    Usay Dekh K Tu Roo Paray
    Woh Nazar Jhuka K Chala Karay
    Tujhay Hijar Ki Woh Jhari Lagay
    Tu Milnay Ki Har Pal Dua Karay
    Terey Khuwaab Bikhrain Toot Kar
    Tu Kirchi Kirchi Chuna Karay
    Tu Nagar Nagar Phira Karay
    Tu Gali Gali Sada Karay
    Tujhay Ishq Ho Phir Yaqeen Ho
    Usay Tasbiyoon Main Parha Karay
    blind
    blind
    V.I.P Member
    V.I.P Member


    Posts : 1861
    Join date : 2009-11-08
    Location : blindnagar
    Hobbies : poetry searching posting

    my collection - Page 2 Empty Re: my collection

    Post by blind Fri Dec 11, 2009 4:25 pm

    SHAM K BAAD




    ankh ban jati hia sawan ki ghata sham ke baad
    loat jata hia ager koi khafa sham ke baad

    woh jo tal jati rahi sir se bala sham ke baad
    koi to tha jo deta tha dua sham ke baad

    ahhey bherti hia shab-e-hijir yatimoo ki terhan
    sard hojati hia her roz hawa sham ke baad .

    sham se pehley lakh sulaey rakhiey
    jag uthti hia mohobat ki ana sham ke baad ,

    sham tak qaid raha kertey hia dil ke under
    dard ho jatey hia sarey hi riha sham ke baad,

    khuab toot ker lipat jatey hia band ankho se
    janey kis jurum ki hia kis ko saza sham ke baad,

    chand jaab roo ke sitaroo se galey milta hia
    aek ajib rang ki hoti hia fiza sham ke baad,

    main ager khush bhi rahoon phir bhi mere siney main
    soogawari to roti hia sada sham ke baad ,

    tum gaey to siyah rang ke kaprey pehney
    phir ti rehti hia mere gher main qaza sham ke baad ,

    main ne tanhai se poucha miloo gi kaab tak
    us ne foran hi baicheni se kaha sham ke baad

    loat ati hia meri shab ki ibadat khali
    janey kis arsh per rehta hia khuda sham ke baad ,

    ajib muthi main jakrey rakhta hia din mujhey
    mujhey iss baat ka ahsas howa sham ke baad,

    koi bhoola howa ghum hia jo musalsal mujh ko
    dil ke patal se deta hia sada sham ke baad,

    mar deta hia ujer janey ka dohra ahsas
    kash koi ho na kisi se juda sham ke baad

    Sponsored content


    my collection - Page 2 Empty Re: my collection

    Post by Sponsored content


      Current date/time is Wed May 08, 2024 8:23 pm