FunMaza ForuM

Would you like to react to this message? Create an account in a few clicks or log in to continue.

The Best Place To Have Fun & Maza With Friendz

Please Read the suggestions section and give your suggestion for FM skin...Funmaza Forum Is Back.**~~**..Most Welcome To All New and Old FM Users.**~~**..Some New Emotions Are Added..**~ADD this ID in your msn messenger "group845326@groupsim.com" ~*Chat Box on Forum is enable don't forget to log in there*... Keep Posting Have Fun

2 posters

    my collection

    blind
    blind
    V.I.P Member
    V.I.P Member


    Posts : 1861
    Join date : 2009-11-08
    Location : blindnagar
    Hobbies : poetry searching posting

    my collection - Page 3 Empty Re: my collection

    Post by blind Fri Dec 11, 2009 4:26 pm

    khud ko mujhsy juda kiya us ne




    khud ko mujhsy juda kiya us ny

    jo na kerna tha, kiya us ny

    yaad kerny sy b na yaad aon

    aiesy mujhko bhula dia us ny

    tum tu bus waqt ki zarorat ho

    mujhko akhir bta dia us ny

    apny hathon sy khud he likh kr mujhy

    jane Q phir mita dia us ny ?
    blind
    blind
    V.I.P Member
    V.I.P Member


    Posts : 1861
    Join date : 2009-11-08
    Location : blindnagar
    Hobbies : poetry searching posting

    my collection - Page 3 Empty Re: my collection

    Post by blind Fri Dec 11, 2009 4:26 pm

    para na farq



    para na farq anokhi zuban likhne se
    zameen zameen he rehi asmaan likhny se

    raha jis sy talouq her ghari mera
    woh ban saka na meri jaan ''jaan'' likhny se

    panah mil na saki ek pal mujhko
    kisi ujri jagah ko makkan likhny se

    karhi tapish se jhulasta raha badan mera
    k dhoop dhoop he rehi sa'eban likhne se
    blind
    blind
    V.I.P Member
    V.I.P Member


    Posts : 1861
    Join date : 2009-11-08
    Location : blindnagar
    Hobbies : poetry searching posting

    my collection - Page 3 Empty Re: my collection

    Post by blind Fri Dec 11, 2009 4:27 pm

    Kuch door humare sath chaloo



    Hum dil ke kahani keh deen ge
    Samje na jise tum ankhoon see

    Woo bat zubani keh deen geee
    Pholoon ke teraha hatoon pe tumhare

    Shookh tabasum bikhere ga
    Dheree see tumhare kanoo main

    Ek baat purani keh deen gee
    Izhar e wafa tum kiya janoo

    Iqrar e wafa tum kiya samjoo
    Hum ziker keren gee geroon ka

    Aur apni kahani keh deen gee
    Kuch door humare sathh chaloo
    blind
    blind
    V.I.P Member
    V.I.P Member


    Posts : 1861
    Join date : 2009-11-08
    Location : blindnagar
    Hobbies : poetry searching posting

    my collection - Page 3 Empty Re: my collection

    Post by blind Fri Dec 11, 2009 4:27 pm

    pal pal kuin marte hain




    Ay moj-e0hawa tu hi bata
    woh piyaar hamara kesa hai ?

    jo bhool chuka hai hamein kab sy
    woh jan-e-piyara kesa hai ?

    kiya usky jewan lamhon mein
    koi lamha mera baqi hai ?

    kia uski jaagti ankhoon mein
    meri yaad abi b baqi hai ?

    ager iesa nhi tuo tu he bata
    hum yaad ussy kui krty hain ?

    woh hum sy bichar k khush hai agar
    to hum pal pal kui marty hain ?
    blind
    blind
    V.I.P Member
    V.I.P Member


    Posts : 1861
    Join date : 2009-11-08
    Location : blindnagar
    Hobbies : poetry searching posting

    my collection - Page 3 Empty Re: my collection

    Post by blind Fri Dec 11, 2009 4:28 pm

    Hum kya karte kis reh chalte
    Har raah mein kaante bikhre the
    Un rishton ke jo choot gaye
    Un sadiyon ke yaranon key
    Jo ik-ik karke toot gaye.

    Jis raah chale jist simt gaye
    Yun paon lahoo-luhan hue
    Sab dekhne vaale kahte the
    Ye kaisi reet rachai hai
    Ye mehndi kyon lagvai hai
    Vo kehte the, kyon kahat-e-vapha
    Ka nahak charcha karte ho
    Paon se lahoo ko dho dalo

    Ye raatein jab at jayengi
    Sow raste in se phootenge
    Tum dil ko sambholo jismein abhi
    Sow tarah ke nashtar tootenge.
    blind
    blind
    V.I.P Member
    V.I.P Member


    Posts : 1861
    Join date : 2009-11-08
    Location : blindnagar
    Hobbies : poetry searching posting

    my collection - Page 3 Empty Re: my collection

    Post by blind Fri Dec 11, 2009 4:28 pm

    barason ke baad dekhaa ik shaKhs dil rubaa saa
    ab zahan mein nahin hai par naam thaa bhalaa saa

    abaruu khinche khinche se aankhein jhukii jhukii si
    baatein rukii rukii sii lahajaa thakaa thakaa saa

    alfaaz the ke jugnuu aavaaz ke safar mein
    ban jaaye jangaloon mein jis tarah raastaa saa

    Khvaaboon mein Khvaab us ke yaadoin mein yaad us kii
    niindoon mein ghul gayaa ho jaise ke rat jagaa saa

    pahale bhii log aaye kitane hii zindagii mein
    vo har tarah se lekin auroon se thaa judaa saa

    agalii muhabbatoon ne vo naa muraadiyaan dien
    taazaa rafaaqatoon se dil thaa Daraa Daraa saa

    kuchh ye ke muddatoon se ham bhii nahin thay roye
    kuchh zahar mein bujhaa thaa ahabaab kaa dilaasaa

    phir youn huaa ke saavan aankhoon mein aa base the
    phir youn huaa ke jaise dil bhii thaa aabalaa saa

    ab sach kahain to yaaro ham ko Khabar nahin thii
    ban jaayegaa qayaamat ik vaaqiaa zaraa saa

    tevar the berukhii ke andaaz dostii ke
    vo ajanabii thaa lekin lagataa thaa aashnaa saa

    ham dasht the ke dariyaa ham zahar the ke amrit
    naahaq thaa zoam ham ko jab vo nahin thaa pyaasaa

    ham ne bhii us ko dekhaa kal shaam ittefaaqan
    apanaa bhii haal hai ab logo Faraz kaa saa
    blind
    blind
    V.I.P Member
    V.I.P Member


    Posts : 1861
    Join date : 2009-11-08
    Location : blindnagar
    Hobbies : poetry searching posting

    my collection - Page 3 Empty Re: my collection

    Post by blind Fri Dec 11, 2009 4:29 pm

    AasHiQibe-dilii se mushkil hai
    phir muhabbat usii se mushkil hai

    ishq aaGaaz hii se mushkil hai
    sabr karanaa abhii se mushkil hai

    ham ?? aasaa.N hai.n aur hamaare liye
    dushmanii dostii se mushkil hai

    jis ko sab be-vafaa samajhate ho.n
    bevafaa_ii usii se mushkil hai

    ek do duusare se sahel na jaan
    har ko_ii har kisii se mushkil hai


    tuu baa-zid hai to jaa 'Faraz' magar
    vaapasii us galii se mushkil hai
    __________________
    blind
    blind
    V.I.P Member
    V.I.P Member


    Posts : 1861
    Join date : 2009-11-08
    Location : blindnagar
    Hobbies : poetry searching posting

    my collection - Page 3 Empty Re: my collection

    Post by blind Fri Dec 11, 2009 4:30 pm

    Zulm phir zulm hai, baRhta hai to miT jaataa hai
    Khoon phir Khoon hai, Tapkega to jam jaayega

    Khaak-e-sehra pe jame yaa kaf-e-qaatil pe jame
    farq-e-insaaf pe yaa paa-e-salaasal pe jame
    teGh-e-bedaad pe yaa laasha-e-bismil pe jame
    Khoon phir Khoon hai Tapkega to jam jaayega

    laakh baiThe koi chhup chhup ke kameeN gaahoN meiN
    Khoon Khud deta hai jalaadoN ke maskan ka suraaGh
    saazisheiN laaKh uRaati raheiN zulmat ka naqaab
    le ke har booNd nikalti hai hatheli pe chiraaGh

    zulm kii qismat-e-nakaarah-o-rusvaa se kaho
    jab’r kii hikmat-e-purkaar ke eema se kaho
    mehmal-e-majlis-e-aqwaam kii laila se kaho
    Khoon diiwana hai, daaman pe lapak sakta hai
    shola-e-tuNd hai, Khirman pe lapak sakta hai

    tum ne jis Khoon ko maqtal meiN dabaanaa chaaha
    aaj vo kuchaa-o-bazaar meiN aa nikla hai
    kahiiN shola kahiiN naarah kahiiN patthar ban ke
    Khoon chalta hai to rukta nahiiN sangeeno se
    sar jo uThtaa hai to dabtaa nahiiN aaeeno se

    zulm ki baat hi kya, zulm ki auqaat hi kya
    zulm bas zulm hai, aaGhaaz se anjaam talak
    Khoon phir Khoon hai, so shakl badal sakta hai
    aisi shakleiN ke miTaaoo to miTaaye na bane
    aise shole k bujhaao to bujhaaye na bane
    aise naare k dabaao to dabaaye na bane
    blind
    blind
    V.I.P Member
    V.I.P Member


    Posts : 1861
    Join date : 2009-11-08
    Location : blindnagar
    Hobbies : poetry searching posting

    my collection - Page 3 Empty Re: my collection

    Post by blind Fri Dec 11, 2009 4:30 pm

    Meri naakaam muhabbat kii kahaani mat chheR
    apnii mayoos umaNgoN ka fasaanaa na sunaa
    zindagii talKh sahii, zahar sahii, sitam* hi sahii
    dard-o-aazaar sahii, jabr sahii, Gham hi sahii
    lekin is dard-o-Gham-o-jabr kii vus’at ko to dekh
    zulm kii chhaaNv meiN dam toRtii Khalqat ko to dekh
    apnii mayoos umaNgoN ka fasaanaa na sunaa
    merii naakaam muhabbat ki kahaanii mat chheR

    jalsa-gaahoN meiN ye vahshat-zadah sahme aNboh
    rahguzaaroN pe falaakat zadah logoN ke giroh
    bhook aur pyaas se paz-murdah siyaah-faam zamiiN
    teerah-o-taar makaaN, muflis-o-beemaar makeeN
    nau’e-insaaN meiN ye sarmaayaa-o-mehnat ka tazaadd
    aman-o-tahzeeb ke parcham tale qaumoN ka fasaad
    har taraf aatish-o-aahan ka ye sailaab-e-azeem
    nit naye tarz pe hoti huii duniyaa taqseem

    lahlahaate hue khetoN pe javaani ka samaaN
    aur dahqaan ke chhappaR meiN na battii na dhuaaN
    ye falak-bos mileiN, dilkash-o-seemeeN baazaar
    ye Ghalaazat ye jhapaT_te hue bhooke baazaar
    door saahil pe vo shaffaaf makaanoN ki qataar
    sarsaraate hue pardoN meiN simaT_te gulzaar
    dar-o-deevaar pe anvaar ka sailaab ravaaN
    jaise ik shaayar-e-madhosh ke KhwaaboN ka jahaaN

    ye sabhii kyoN hai ye kyaa hai, mujhe kuchh sochne de
    kaun insaaN ka Khudaa hai, mujhe kuchh sochne de
    apni maayuus umangoN ka fasaanaa na sunaa
    merii naakaam muhabbat ki kahaanii mat chheR
    blind
    blind
    V.I.P Member
    V.I.P Member


    Posts : 1861
    Join date : 2009-11-08
    Location : blindnagar
    Hobbies : poetry searching posting

    my collection - Page 3 Empty Re: my collection

    Post by blind Fri Dec 11, 2009 4:31 pm

    Teri Dooli Uthi

    Teri Dooli Uthi
    Meri Mayyat Uthi
    Phool Tujh Par Bhi Parsay
    Phool Mujh Par Bhi Barsay
    Farq Sirf Itna Tha
    Tu Uth Kar Gaye
    Mujh Ko Uthaya Gaya
    Mehfil Wahan Bhi Thi
    Loog Yahan Bhi Thay
    Farq Sirf Itna Tha
    Un K Hansa Waha
    In K Roona Yahan
    Qazi Udhar Bhi Tha
    Molvi Idhar Bhi Tha
    Farq Sirf Itna Tha
    2 Bool Terey Parhay
    2 Bool Merey Parhay
    Tera Nikah Parha
    Mera Janazah Parha
    Tujhay Apnaya Gaya
    Mujhay Dafnaya Gaya
    blind
    blind
    V.I.P Member
    V.I.P Member


    Posts : 1861
    Join date : 2009-11-08
    Location : blindnagar
    Hobbies : poetry searching posting

    my collection - Page 3 Empty Re: my collection

    Post by blind Fri Dec 11, 2009 4:32 pm

    Wadda Karo

    Dharkanoon Ki Tarhan Meri Har Saans Main
    Pyaar Apna Baasanay Ka Wadda Karo
    Rang Jitnay Tumhari Mohabbat K Hain
    Merey Dil Main Saajanay Ka Wadda Karo
    Sirf Lafzoon Say Iqraar Hota Nahin
    Ek Jaanib Say Hi Pyaar Hota Nahin
    Main Tumhain Yaad Rakhnay Ki Khaon Kassam
    Tum Mujhay Na Bhulanay Ka Wadda Karo
    Jab Lafzoon Say Iqraar Kartay Ho Tum
    Dharkanoon Main Naya Rang Bhartay Ho Tum
    Bar-Ha Kar Chukay Ho Magar Aaj Phir
    Mujhay Apna Bananay Ka Wadda Karo
    blind
    blind
    V.I.P Member
    V.I.P Member


    Posts : 1861
    Join date : 2009-11-08
    Location : blindnagar
    Hobbies : poetry searching posting

    my collection - Page 3 Empty Re: my collection

    Post by blind Fri Dec 11, 2009 4:34 pm

    Magar Ab Kidhar Chalay


    Chalna Tha Chal Paray Thay, Magar Ab Kidhar Chalay
    Manzil K Baad Bhi Humain Manzil Nahin Milay
    Us Kashti Ko Bhanwar Main Dubana Ziada Sahi Lagay
    Toofaan Ko Jeet Kar Jissay Saahil Nahin Milay
    Aaghay Na Barh Saka, Koi Bhi Raasta Kahin
    Sadiyon K Baad Jab Woh Louta, Hum Woh Hi Milay
    Woh Apni Bay Basi Ka Aalam Kisi Say Kia Kahay
    Sajaye Jo Sab Ki Mehfil, Ussay Jab Mehfil Nahin Milay
    Hazaar Chaandni Raaton Ka Naseeb Bhi Faraib Hai
    Mehbood K Kaandhay Pay Bacha Jo Ek Pal Nahin Milay
    Hum Say Raha Hai Bay Reham Waqt Kis Qadar
    Aaj Jinhain Ganwah Diya Woh Kal Nahin Milay
    Insaan Apnay Karmon Ka Hi Inaam Pata Hai
    Jo Beeja Hum Nay Boya Tha, Humain Phal Wohi Milay
    Mousam Bhi Aa Gaya Naya, Kuch Naye Rang Aa Gaye
    Laikin Jo Kho Gaye Thay Raah Main, Woh Kal Nahin Milay
    blind
    blind
    V.I.P Member
    V.I.P Member


    Posts : 1861
    Join date : 2009-11-08
    Location : blindnagar
    Hobbies : poetry searching posting

    my collection - Page 3 Empty Re: my collection

    Post by blind Sun Dec 20, 2009 7:44 am

    Duaain Parh K Jab Rukhsat K Waqt Hisaar Kia


    Duaain Parh K Jab Rukhsat K Waqt Hisaar Kia
    Goya Ek Teer Kaleejay K Aar Paar Kia

    Main Duniya Daari Main Aisi Lagi Sab Bhool Gaye
    Magar Unhoon Nay Subh-O-Shaam Intizaar Kia

    Puraani Galiyon Nay Pocha K Kis Talaash Main Ho
    Pursa Deti Rahin Rooti Rahin Mujh Ko Bhi Aashk Baar Kia

    Hujoom-E-Dostan Main Gham Say Bayniyaaz Thi Main
    Magar Judaaiyon Nay Gham Say Hum Kinaar Kia

    Logon K Paas Tu Baatain Hain Buhat Karnay Ko
    Aur Ek Main Hoon Tera Zikar Baar Baar Kia

    Kitni Sunsaan Aur Akaili Howi Dil Ki Duniya
    Kion K Jo Kuch Tha Merey Paas Sab Nisaar Kia
    blind
    blind
    V.I.P Member
    V.I.P Member


    Posts : 1861
    Join date : 2009-11-08
    Location : blindnagar
    Hobbies : poetry searching posting

    my collection - Page 3 Empty Re: my collection

    Post by blind Sun Dec 20, 2009 7:47 am

    Sochta Hoon K Qehad Ki Maari Is Duniya Ko


    Sochta Hoon K Qehad Ki Maari Is Duniya Ko
    Naye Nizaam Khush Khabri Sunaye Jaye

    Kaash Ek Baar Kisi Tarhan Say Yohn Ho Jaye
    Eid Aaye Tu Har Ghar Main Manaye Jaye

    Waqt Ki Karwant Say Firoon Tak Nabood Howay
    Ab Yeh Sachaye Unhain Khul K Bataye Jaaye

    Qainaat Sabar-O-Tahammul Hain Istehsaal K Naam
    Humain Yeh Jabar Ki Mantaq Na Parhaye Jaye

    Faisla Karnay Ko Zaalim Aur Mazloom Roo Baroo Bethain
    Mehal Aur Jhonpri K Beech Ki Deewar Giraye Jaye

    Khalq Us Nay Kia Duniya Ko Sanwara Aur Sajaya Kis Nay
    In K Aizaas Main Har Shehar Main Taqreeb Manaye Jaye
    blind
    blind
    V.I.P Member
    V.I.P Member


    Posts : 1861
    Join date : 2009-11-08
    Location : blindnagar
    Hobbies : poetry searching posting

    my collection - Page 3 Empty Re: my collection

    Post by blind Sun Dec 20, 2009 7:49 am

    Khuda K Liey





    Khula Asmaan Day Khuda K Liey
    Pyaar Ka Karvaan Day Khuda K Liey

    Buhat Khaab Toonay Dikhayen Hain Rehbar
    Rotti Kapra Makaan Day Khuda K Liey

    Deen Pyaara Sabhi Ko Hai Apna
    Deen Ko Imaan Day Khuda K Liey

    Jannat Teri Tujh Ko Mubarak
    Pur Sakoon Jahaan Day Khuda K Liey

    Har Rang-O-Khushbo K Phool Khilain
    Aisa Gulistaan Day Khuda K Liey

    Pathar Na Ban JaoN Is Shehar Main
    Mohsin Ko Zubaan Day Khuda K Liey
    blind
    blind
    V.I.P Member
    V.I.P Member


    Posts : 1861
    Join date : 2009-11-08
    Location : blindnagar
    Hobbies : poetry searching posting

    my collection - Page 3 Empty Re: my collection

    Post by blind Sun Dec 20, 2009 7:50 am

    Bhoolay Say Kabhi Un Ki Nawaazish Nahin Ho Gi


    Bhoolay Say Kabhi Un Ki Nawaazish Nahin Ho Gi
    Khuddar Hain Hum Say Bhi Guzaarish Nahin Ho Gi

    Hum Woh Hain Jo Har Dard Chupa Letey Hain Dil Main
    Hum Say Kabhi Zakhmon Ki Numaish Nahin Ho Gi

    Is Dil Main Kisi Aur Ka Gham Terey Elawah
    Yeh Jurm Hai Hum Say Tu Yeh Saazish Nahin Ho Gi

    Likhi Hai Ghazal Apni Tammana K Lahu Say
    Kia Gham Hai Jo Shairon Ki Sataaish Nahin Ho Gi

    Nadaan Hai Tu Waaiz Meri Aankhon Say Tu Pi Lay
    Aisa Bhi Nahin Hai K Teri Bakhshish Nahin Ho Gi

    Jis Dil Main Faqat Aarzo-E-Yaar Basay Mohsin
    Us Dil Ko Kisi Aur Ki Khahish Nahin Ho Gi
    blind
    blind
    V.I.P Member
    V.I.P Member


    Posts : 1861
    Join date : 2009-11-08
    Location : blindnagar
    Hobbies : poetry searching posting

    my collection - Page 3 Empty Re: my collection

    Post by blind Sun Dec 20, 2009 8:11 am

    Magar Ab Kidhar Chalay


    Chalna Tha Chal Paray Thay, Magar Ab Kidhar Chalay
    Manzil K Baad Bhi Humain Manzil Nahin Milay
    Us Kashti Ko Bhanwar Main Dubana Ziada Sahi Lagay
    Toofaan Ko Jeet Kar Jissay Saahil Nahin Milay
    Aaghay Na Barh Saka, Koi Bhi Raasta Kahin
    Sadiyon K Baad Jab Woh Louta, Hum Woh Hi Milay
    Woh Apni Bay Basi Ka Aalam Kisi Say Kia Kahay
    Sajaye Jo Sab Ki Mehfil, Ussay Jab Mehfil Nahin Milay
    Hazaar Chaandni Raaton Ka Naseeb Bhi Faraib Hai
    Mehbood K Kaandhay Pay Bacha Jo Ek Pal Nahin Milay
    Hum Say Raha Hai Bay Reham Waqt Kis Qadar
    Aaj Jinhain Ganwah Diya Woh Kal Nahin Milay
    Insaan Apnay Karmon Ka Hi Inaam Pata Hai
    Jo Beeja Hum Nay Boya Tha, Humain Phal Wohi Milay
    Mousam Bhi Aa Gaya Naya, Kuch Naye Rang Aa Gaye
    Laikin Jo Kho Gaye Thay Raah Main, Woh Kal Nahin Milay
    blind
    blind
    V.I.P Member
    V.I.P Member


    Posts : 1861
    Join date : 2009-11-08
    Location : blindnagar
    Hobbies : poetry searching posting

    my collection - Page 3 Empty Re: my collection

    Post by blind Sun Dec 20, 2009 8:18 am

    Kisi Ko Apnay Aamaal Ka Hisaab Kia Detey
    Sawaal Saray Ghalat Thay Jawaab Kia Detey



    2. Jo Burai Thi Merey Naam Say Mansoob Howi
    Dostoon Kitna Bura Tha Mera Achha Hona



    3. Buhat Mushkil Hai Tark-E-Aashqi Ka Dard Sehna Bhi
    Buhat Dushwaar Hai Laikin Mohabbat Kartay Rehna Bhi



    4. Us K Ghar Ki Dewaar Gir Pari Us Par
    Dafan Yeh Aaj Howa Hai Mara Tu Kab Ka Tha
    blind
    blind
    V.I.P Member
    V.I.P Member


    Posts : 1861
    Join date : 2009-11-08
    Location : blindnagar
    Hobbies : poetry searching posting

    my collection - Page 3 Empty Re: my collection

    Post by blind Sun Dec 20, 2009 8:19 am

    Laakh Chahao Badal Nahin Saktin
    Zindagi Say Nikal Nahin Saktin
    Aadatain Bhi Ajeeb Hoti Hain


    6. Aaye Kaash Tu Bhi Sunta Kabhi Aahaton Ki Goonj
    Tu Bhi Meri Tarhan Say Kabhi Doondhta Mujhay


    7. Tum Mujhay Bhool Bhi Jaao Tu Yeh Haq Hai Tum Ko
    Meri Baat Aur Hai Main Nay Tu Mohabbat Ki Hai



    8. Jurtay Howay Dekha Nahin Tootay Howay Dil Ko
    Gir Jaayein Jo Aansoo, Tu Uthaaye Nahin Jaatay



    9. Meri Dowaoon Main Tera Wajood Rehta Hai
    Ab Is Say Barh K Mera Aetraaf Kia Ho Ga



    10. Buhat Pathar Bana Hoon Tootnay Ko
    Magar Ek Choot Say Dil Ho Gaya Hoon
    blind
    blind
    V.I.P Member
    V.I.P Member


    Posts : 1861
    Join date : 2009-11-08
    Location : blindnagar
    Hobbies : poetry searching posting

    my collection - Page 3 Empty Re: my collection

    Post by blind Sun Dec 20, 2009 8:23 am

    Aao muhabbat karte hyn



    Aik shararat karte hyn
    Aao muhabbat karte hyn
    Hansti ankhon se keh do
    Darya hijrat karte hyn
    Kuch dil aise hain jin per
    Hum b hakumat karte hyn
    Zinda rehna hy dushwaar acha…!
    Chalo himmat karte hyn
    Wesy hotay nahi hain loug
    Jaisi chahat karte hyn
    Aksar apne aap se hum
    Teri shikayat karte hyn
    blind
    blind
    V.I.P Member
    V.I.P Member


    Posts : 1861
    Join date : 2009-11-08
    Location : blindnagar
    Hobbies : poetry searching posting

    my collection - Page 3 Empty Re: my collection

    Post by blind Sun Dec 20, 2009 8:23 am

    Hum Nay Tou Khair Say Shikayat Kabhi Na kii..!!




    !!..Aisa Nahi Kay Dill Nay Bagawat Kabhi Na Ki..!!
    !!..Kis Haal Main Hain Taray Sataye Hue loog..!!
    !!..Tou Nay Yeh Poochnay Ki Zehmat kabhi Na Kii..!!
    !!..Mehsoos Kiya Karo Gay Woh Aoroun Kay Dard Ko..!!
    !!..Jis Ny Khud Apny Aap Say ulfat Kabhi Na Ki..!!
    !!..Chaha Hai Main Nay Jiss Ko Barii Siddaton Kay Sath..!!
    !!..Us Tarhan Say Us Nay Mujh Say Mohabbat Kabhi Na Ki..!!
    !!..Har Dastaan teri Bohut Ghour Say Suni..!!
    !!..Lykin Biyaan apni Shikayat Kabhi Na Ki..!!
    !!..Eik Khowab Tha Apni Shaboon per Raha Muheet..!!
    !!..Kiya Khowab Tha Kisi Say Wazahat Kabhi Na Ki..!!
    !!..Eik Asg Thi Kay Jalta Raha Jis Main Umar Bhar..!!
    !!..Eik Dard Tha Kay Jis Main Khayanat Kabhi Na ki..!!
    blind
    blind
    V.I.P Member
    V.I.P Member


    Posts : 1861
    Join date : 2009-11-08
    Location : blindnagar
    Hobbies : poetry searching posting

    my collection - Page 3 Empty Re: my collection

    Post by blind Sun Dec 20, 2009 8:24 am

    SAMANDAR MAIN JALAN KAISI HAI



    Meri Aankhon K Samandar Main Jalan Kaisi Hai
    Aaj Phir Dil Ko Tarapne Ki Lagan Kaisi Hai

    Ab Kisi Chat Pe Charaghon Ki Roshni Bhi Nahin
    Ab Tere Sheher Ki Galiyon Main Ghutan Kaisi Hai

    Barf K Roop Main Dhal Jaaenge Saare Rishte
    Mujh Se Pouchho K Mohobbat Ki Agan Kaisi Hai

    Main Tere Wasal Ki Khuwahish Ko Na Marne Doonga
    Mosam_E_Hijr K Lehje Main Thakan Kaisi Hai

    Regzaaron Main Jo Bunti Rahi Kaanton Ki Rida
    Usski Majboor Si Aankhon Main Kiran Kaisi Hai

    Mujhe Maasoom Si Larki Pe Taras Aata Hai
    Usse Dekho Tau Mohobbat Main Magan Kaisi Hai
    blind
    blind
    V.I.P Member
    V.I.P Member


    Posts : 1861
    Join date : 2009-11-08
    Location : blindnagar
    Hobbies : poetry searching posting

    my collection - Page 3 Empty Re: my collection

    Post by blind Sun Dec 20, 2009 8:24 am

    Bhula Kar Dekhain Gen


    Ek Baar Tum Ko Yohn Hi Bhula Kar Dekhain Gen
    Mushkil Ho Ga Jeena, Par Aazma Kar Dekhain Gen
    Juda Ho Kar Mar Jayein Gen Yeh Dar Hai Phir Bhi
    Ek Baar Khud Ko Tujh Say Juda Kar K Dekhain Gen
    Terey Bin Paray Ga Bhatakna Tu Yohn Hi Sahi
    Hum Tum Say Alag Apna Raasta Kar K Dekhain Gen
    Us Ko Khuda Banaya Tu Kuch Haasil Nahin Howa
    Kia Bigharta Hai, Ab Ussay Bot Bana Kar Dekhain Gen
    Teri Bahoon Main Ek Raat Ko Sadiyon Taras Gaye
    Ab Jo Mili Hai Yeh Raat, Tu Ussay Ganwa Kar Dekhain Gen
    Is Uthtay Howay Toofan Main Kuch Bhi Na Bachay Shayad
    Phir Bhi Kachhay Mitti Ka Hum Ghar Bana Kar Dekhain Gen
    Gham Ki Yeh Aandhi Hai, Chiraghon Ko Nahin Jalnay De Gi
    Hum Phir Bhi Ek Umeed Ka Depak Jala Kar Dekhain Gen
    blind
    blind
    V.I.P Member
    V.I.P Member


    Posts : 1861
    Join date : 2009-11-08
    Location : blindnagar
    Hobbies : poetry searching posting

    my collection - Page 3 Empty Re: my collection

    Post by blind Sun Dec 20, 2009 8:24 am

    Paraai Nahin Sunni


    Us Nay Kabhi Bhi Phir Paraai Nahin Sunni
    Kitna Bhaala Kia, K Buraai Nahin Sunni
    Rooti K Jama Kharch Main Hi Umar Kat Gaye
    Hum Nay Kabhi Ghazal Ya Rubaai Nahin Sunni
    Auroon Ki Tarhan Tum Nay Bhi Ilzaam Hi Diye
    Tum Nay Bhi Meri Koi Safaai Nahin Sunni
    Maawas Ki Ghani Raat Ka Har Jhoot Rat Lieya
    Suraaj Ki Tarhan Saaf Sachhaai Nahin Sunni
    Bachchon Ki Nursery K Khiloonay Tu Sun Liey
    Dhaabay Main Bartanoon Ki Dhulaai Nahin Sunni
    blind
    blind
    V.I.P Member
    V.I.P Member


    Posts : 1861
    Join date : 2009-11-08
    Location : blindnagar
    Hobbies : poetry searching posting

    my collection - Page 3 Empty Re: my collection

    Post by blind Sun Dec 20, 2009 8:25 am

    my collection - Page 3 Pt58eq7

    Sponsored content


    my collection - Page 3 Empty Re: my collection

    Post by Sponsored content


      Current date/time is Thu Nov 21, 2024 9:58 am